शुक्रवार, 24 जून 2011

Gaon nigalte shahar 1

Dheere-dheere shahar apni baahen failate ja rahe hain aur aaspas ke gaon usme samate chale ja rahe hain. Kheti ki zamin sikudti ja rahi hai. Chappar aur khaprail beete dino ki baaten ho gai hain. Ab gaon me kheton me concret ke jangal ug aaye hai. Din par din ye jangal badhte ja rahe hain. Hariyali dekhne ko aankhe tarasne lagi hain. Charo taraf badi-badi imarten, chill-pon karti, dhuan ugalti choti-badi gadiyan aur in sabke beech bhagte, daudte aadmi. Sham ko ghar jaane tak kai liter jahreela dhuan peene ko bebas, bheed bhari buson me ek dusre par chade, garmi re behal ghar tak pahunchte-pahunchte thak kar nidhal hota jeevan. Kahan se aayi itni bheed? Kahan kahan se aaya itna dhuan? Ye sab pragati ka parinam hai. Ye sab hamare prakrati se door hone ka....