शनिवार, 25 जून 2011

Gaon nigalte shahar 3

.... prakrati ko nahi samajh pa rahe. Kyon nahi ham prakrati ki or laut rahe. Abhi ham itni door bhi nahi aaye ki wapas na laut saken. Jaroorat hai gawon me suvidhayen uplabdh krane ki. Jaroorat hai gawon me rojgar uplabdh karane ki. Yadi logon ko gaon me rojgar milega, shahar jaisi suvidhayen milengi to kyon log gaon chhodkar shahar ka rukh karenge? Kyon shahron par dabab badhega? Jab sahron par dabab kam hoga to zahir hai kheton me concrete nahi ugegi. Tab ham hariyali ke jyada kareeb honge. Sath hi shahar ko bhi ham adhik hara-bhara bana sakenge. Yatayat ka dabab bhi kam hoga. Isse hamen paryavaran ko saf rakhne me kuchh safalta to awashya milegi. Hamari kheti ki zameen bhi kam nahi hogi. Ek baat aur kahoonga udyogon ko kewal banjar zameen par hi........