शुक्रवार, 24 जून 2011

Gaon nigalte shahar. 2

.....natija hai. Saikdon nai bimariyan paida ho gai hai. Kal hi ki khabar hai bihar me rahasyamai bukhar se 109 bachchon ki maut ho gai hai. Saikdon anya beemar hain. Doctors ki samajh me nahi aa rahi ye nai beemari. Aise hi na jaane kitni anya bimariyan abhi tak ajnabi hain hamare liye. Jitni tezi se han pragati ke path par badh rahe hain utni hi teji se ham apne liye nai musibten paida kar rahe hain. Aaj ham jis jagah par hain wahan tak pahunchne ke liye hamne prakrati se kitni doori tay ki hai ye batane ki jaroorat nahi hai. Hamne jitni doori prakrati se tay ki utni hi doori prakrati ne hamse banayee hai. Hamne gaon todkar shahar banaye shahron ne hame tod diya. Zindagi ka bas naam rah gaya hai varna zindagi to ham kab ki peechhe chhod aaye. Kyon ham....