शनिवार, 8 नवंबर 2008

saans bankar.................

ik roz maazi ban jayunga main,
tujhko bahut yaad aaunga main.
is duniya me mera kuchh bache na bache,
teri dhadkan me baaki rah jaunga main.
tere aansoo jab tapak kar bhigo denge takiya ko,
bistar ki salvaton me ubhar aaunga main.
har subah takna door jhankti pahadiyon ko,
sooraj ki lali me jhilmiaunga main.
mujhse bhagna tera beimaani hogi,
saans bankar tere bhetar utar jaunga main.


Marathi manus Raj Thkre ko koi samjhata kyon nahin bechare apne pradesh ke liye, apne pradesh ki janta ke liye chintit hain. mumbai maharastra ki arthik arthat sona ugalne wali nagri hai. is nagri se sara paisa to ye bhaiya log bihar aur U.P. liye ja rahe hain. Agar abhi nahin chete to thode dinon men mumbai ka sara paisa U.P. aur Bihar me pahunch jayega. UP Bihar ke log paise ke dheron par aish karenge. Mumbai me kuchh bacha nahi rah jayega, sivay abhisek ki aish ke, jo pahle se hi UP ki ho gayee. Is tarah to marathi manus bhukha mar jayega. Mumbai ke assi pratishat karobaar par to yahi bhaiya log kabza karke baithe hain chahe wo chai ka stal ho ya pan ki dukan. Doodh wala ho ya sabji wala, ghar ka naukar ho ya watchman, driver ho ya rasoiya. sab ki sab badi-badi post to bhaiya logon ne kabzai hui hain. Marathi manus ke liye kuchh chhoda hi nahin hai. Galyon men marathi mulga-mulgi ke kahkahon ki jagah naak sudakte bihari bachchon ki chill - pon sunai deti hai. Sadkon par bhaiya logon ka huzum. Juhu beach par marathiyon ki bhel poori aur pani poori bhi bhaiya hi bechta milta hai. Ganpati ke samay jis jagah par marathi ganpati ko dubaya karte the wahan par bhaiuya log chhath poojne lage. Maharastra ki adhiktar milon men ye bhaiya saman dhone, chaukidari karne aur safai jaise bade -bade kam karke marathiyon ke pet par lat maar chuke hain. Iske alawa inhone marathiyon ko kamjor bhi bana diya hai. ab dekho na ye log marathiyon ki kothiyon par chhadu - ponchha karke, unke lawn me pani dekar, unka khana banakar unko aalsi banane par tule huye hain. Jab sara kam yahi log karte rahenge to jahir hai ki marathiyon ko thode hi dinon men bhopokhe marne ki naubat aa jayegi. Ab bhaiya! Bala Sahib thakre to kuchh karne se rahe kyonki unhonne apni shiv-sena ki shakhayen bhiya logon ki galiyon tak faila rakhi hain, aur bhavishya ki chinta bhi hai. so wo to panga lene wale nahin. Ab kul mila ke ek yahi aadmi yani Raj Thakre ji hi to bache hain jo maratiyon ka aur sirf marathiyon ka bhavisya ki chinta karne wale bache hain. Agar wo bhi nahin sochenge to kaun sochega. iske chalte ek Rahul Raj ya Dharm Dev to kya agar sare bhiya logon ki bali chadhani pade to wo bhi kam hogi. AAkhir police to hamare great LEADER Raj sahib ke saath hai. Aur police hi kya hospital, doctor sab saath hain. Baaki leaders ko bhi apni shakh bachani hai to unhen bhi apne kanon par ungli rakhni padegi. juban ko marathi sree khand men dubokar meetha - meetha bolna hi padega hi. Aakhir vote ka sawal hai. Bhaiya logon ke vote to pahle se hi aur logon ne book kar rakhe hain. to kewal marathiyon ka hi sahara hai. isliye sahib ham to ye hi chahenge ki saare bhaiya logon ko mumbai aur maharastra ke baaki ilakon se khaded diya jaye jisse maharastra ki dhan sampada maharastra me hi rahe aur marathi manus bhookhon marne se bach jaaye. Aur bhaiya! saare bhaiya logon se mera nivedan hai ki jaldi se jaldi mumbai khali karo jisse Raj thakre ka kam aasan ho jaye. Sahi baat to ye hai ki hamare yahan marathi aate nahin, hain bhi to ikka - dukka. Unko khaded kar bhi tum apni rajneeti nahin chamka sakte. tumhari police bhi tumhara saath nahin degi , jaise mumbai police ne Raj ka diya. Raj ko aatankwadi ya atiwaadi bhi ghoshit karva kar tum kuchh nahin kar loge kyonki vote to congress , BJP, aur doosri partiyon ko bhi chahiye. kaun dale aag me hath jab chunov saamne hain. Bhag lo bhaiya bhag lo mumbai se. Ab marathiyon ko apni tatti khud hio saaf karne do varna .............. marathi bhookhe mar jayenge.