मंगलवार, 19 अप्रैल 2011

Gauraiya

Gober lipe aangan me, bhor ki pahli kiran, jab utar aati thi kuhase ki chadar odhe, tumahari madhur chi-chi goonjne lagti thi ghar ke kone-kone me, mano kah rahi ho, o sone walo uthkar dekho bhor utar aayee hai, mehndi lage paon se. Tum fudakti hui aangan me pada dana uthakar fur se ud jatin thi, ya chhappar ke foos se ek tinka churakar, rakh aati thi kachchi kothri ke roshandan me, jahan tumhara chhota sa ghosla, jisme aane the kuchch chote bachche, andon se nikal kar fir furr-furr, chi-chi karne lagte, bilkul tumhari tarah, aur ek din ud jate hamesha ke liye, apna ek alag sansar basane ko, tum fir churane lagti foos ke tinke, fur se ud jaati koi dana lekar, fir chahchahati ho chote bachchon ki chi-chi me. Aah! Gaurraiya tum kahan chali gai ho?