मंगलवार, 16 दिसंबर 2008

SARDI KI SUBAH

SARDIYON KI SUBAH, KUHRE SE BHARI,
DOOR-DOOR TAK SIRF SAFED CHADAR,
THANDI-THANDI PACHHUA HAWA, MASTATI,
HOTHON KI KANPKAPAHAT KE SATH,
DATON KI KITKITAHAT,
ASMAN MEN KOI HALCHAL NAHIN,
NA PARINDON KI CHAHCHAHANE KE SWAR,
NA GUNGUNI DHOOP KA KHUMAR,
SURAJ BHI SHAYAD DUBKA PARA HAI LIHAF ME,
USE BHI SUBAH KI KOI FIKRA NAHIN,
BHOR KE KUHASE KO CHEER KAR KOI HORN KI AWAZ,
HIGHWAY SE FAILTI CHALI AATI HAI,
IS NAI BANI KOLONI KE GHARON KE AANGAN TAK,
JO AB TAK PADE HAIN SHANT,
IS KOLONY MEN ABHI TAK SUBAH NAHI HUI, NA KOI MURGE KI BANG SUNAI DI PAS KE GAON SE,
MAIDAN KI GHAS KE HOTHON PAR OS KE BINDU,
HAWA KE SATH THARTHRATE HUE, JAISE DAWAT DE RAHE HON MUJHE,
APNE SAATH KHELNE KE LIYE,
MERE SHAREER KO DHAKNE WALE GARAM KAPDE BHI SHAYAD,
MERE SAATH KARNE LAGE THE ATHKHELIYAN,
TABHI TO THANDI HAWA KE JHONKON KO ROKNE KE BAJAY,
CHALE JANE DE RAHE HAIN, MERI TWACHA KI KOSHIKAON TAK,
AUR KANPKAPA JATI HAI MANS ME DABI HADDIYAN,
THAND SE KANPKAPATE HATHON KO BAR-BAR EK DOOSARE SE RAGAD KAR,
KUCHH GARMI PANE KI KOSHISH MEN,
MERE JAHAN MEN UBHAR AYAA TUMHARA CHEHRA,
JAB AISI HI EK THANDI SUBAH MEN,
MERE KANPTE HATHON KO TUMNE SAMET KAR,
THAM LIYA THA APNI GARM-GARM HATHELIYON KE BEECH,
MERI KANPTI DEH KHUD-B-KHUD SIMAT GAYI THI,
TUMHARE AGOSH ME,
AUR SARDI DOOR KHADI THANDI- THANDI AANHE BHARTI RAHI THI,
KASH, AAJ BHI TUM AAKAR SAMET LETE MUJHE,
APNE KOMAL ANGO KE BEECH AUR MAI CHAHAK UTHTA,
IS KUHRE BHARI SARDI MEN.