सोमवार, 1 दिसंबर 2008

Mumbai ke dhamake.

kuchh to baat hai ke hasti mitati nahin hamari, raha kare dushman sadiyon jahan hamara.
mumbai ek baar fir lal ho gai manaviya lahoo se. dhamakon se goonj uthi fiza. dhoo-dhoo kar jal utha taz. kitne begunah kal ke gaal me sama gaye. a t s ke kitne jawan shaheed ho gaye. tab na koi marathi tha, na koi panjabi, bihari ya south indian. bas sabke sab indian the. aatankiyon ki guns sirf hindustaniyon ko maar rahi thi. us samay kahan the Raj Thakre? kahan the M.N. sena ke karyakarta. Kya ho gya is maharashtra ke sher ko? kyon nahin cheekha " Amchi Mumbai"?
kyon nahin kaha apne karyakartaon se ki jaise tum maar rahe the north indians ko baise hi aatankvadiyon ko maar kar nikal do mummbai se bahar? Kyon wo aawaz sunai nahin di dhamakon ke beech jo pichhle kafi samay se roz north indians par kahar bankar toot rahi thi? Kya ye sher mitti ka sher tha? Bhaiya Jab samay aata hai tab marathi, hindi, panjabi,ya bangali nahin dikhai de rahe the tab to aage badhkar seene par goliyan kewal bharat maa ke sapoot kha rahe the.
Raj bhiya hindustani hindustani hota hai. chahe woh U.P. ka ho, ya maharashtra ka.

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें